Roshan Jamal E Yar se hai Anjuman by Sidratul Muntaha | Urdu Ghazal
Lyrics : Hasrath Mohani
Singer : Abida Parveen
روشن جمال یار سے ہے انجمن تمام
دہکا ہوا ہے آتش گل سے چمن تمام
raushan jamāl-e-yār se hai anjuman tamām dahkā huā hai ātish-e-gul se chaman tamām
حیرت غرور حسن سے شوخی سے اضطراب
دل نے بھی تیرے سیکھ لیے ہیں چلن تمام
hairat ġhurūr-e-husn se shoḳhī se iztirāb dil ne bhī tere siikh liye haiñ chalan tamām
اللہ ری جسم یار کی خوبی کہ خودبخود
رنگینیوں میں ڈوب گیا پیرہن تمام
allāh-rī jism-e-yār kī ḳhūbī ki ḳhud-ba-ḳhud
rañgīniyoñ meñ Duub gayā pairahan tamām
دیکھو تو چشم یار کی جادو نگاہیاں
بے ہوش اک نظر میں ہوئی انجمن تمام
dekho to chashm-e-yār kī jādū-nigāhiyāñ
behosh ik nazar meñ huī anjuman tamām
شیرینئ نسیم ہے سوز و گداز میرؔ
حسرتؔ ترے سخن پہ ہے لطف سخن تمام
shīrīni-e-nasīm hai soz-o-gudāz-e-'mīr'
'hasrat' tire suḳhan pe hai lutf-e-suḳhan tamām
No comments:
Post a Comment