Sunday 27 November 2011

gesuu-e- taabadaar ko aur bhii taabadaar kar

Allama Iqbal
gesuu-e- taabadaar ko aur bhii taabadaar kar
hosh-o-Khiraad shikar kar qalb-o-nazar shikar kar
[gesuu-e-taabadaar=lustrous hair; taabadaar=lustrous]
tuu hai mahiit-e-bekaraa.N mai.n zaraa sii aabajuu
yaa mujhe ham-kinaar kar yaa mujhe be-kinaar kar
mai.n huu.N sadaf to tere haath mere gauhar kii aabaruu
mai.n huu.N Khazaf to tuu mujhe gauhar-e-shaahawaar kar
naGmaa-e-naubahaar agar mere nasiib me.n na ho
is dam e niim soz ko taairaak-e-bahaar kar
ishq bhii ho hijaab me.n husn bhii ho hijaab me.n
yaa tuu Khud aashakaar ho yaa mujh ko aashakar kar
[aashakaar=visible]
baaG-e-bahisht se mujhe hukm-e-safar diyaa thaa kyo.N
kaar-e-jahaa.N daraaz hai ab meraa intazaar kar
roz-e-hisaab jab pesh ho meraa daftar-e-amal
aap bhii sharmasaar ho, mujh ko bhii sharmsaar kar

No comments:

Post a Comment

ഉറുദു ഗുൽസാറിന് ജ്ഞാന പീഠപുരസ്കാരം !!

ഡോ . കമറുന്നീസ.കെ ഉർദു വകുപ്പ് മേധാവി, ശ്രീശങ്കരാചാര്യ സംസ്കൃത സർവ്വകലാശാല - കാലടി ഉർദു കവിതയ്ക്ക് പുതിയ മാനം നൽകിയ ഇന്ത്യയിലെ ...